Fashion Life & World Of Fashion
Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha
Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha
Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha
Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha
Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Lye
Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha
Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha
Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bachha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha
Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha
Comments
K he Mizaaj e zamana, Fasana saaz Buhat,,
Tera Gharoor e Ebadat tujhey na le Doobey,,?
Suna he parhta tha IBLEES bhi Namaaz Buhat,,
Ye keh rahy thy kal Awargaan e koocha e Yaar,,
Adaayein aaj bhi hen uski DilNawaaz buhat,,
Unhein Shaoor e Muhabat nhi Khuda ki Qasam,,
Jo log hen teri Mehfil men SarFaraaz Buhat,,
Meri khushi ka Zamana hawa ka jhonka tha,,
Mery ghamo ki rhi Zindagi Daraaz Buhat,,
Go koi harj na tha laut k ghar jaane mein
TU ne kabhi Chua nahi Mujhey
Mager,Phir Kion hai
Yeh Hiddat e Sharam Mujh main Jaari
Key Jesey.
Mera Ang Ang.
Her Ik Niha Rang
Nikher Gaya ho Jesey
Bas.
IK US Andekhey Lams key Ihsaas se
Jo Najaney KAB - Kis Pal
Dikha gaya hai khud Mujh hi ko
Meray hi SAB Nehifta Asraar ka Aaeena !