Skip to main content

Life & Fashion

Fashion Life & World Of Fashion

Chand Meri Tarah Pighalta Raha




Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha



Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha



Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha



Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha



Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Lye
Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha



Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha



Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bachha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha



Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha


Comments

Popular posts from this blog

Nice Collection Of Girls Dress Fashion

Beautiful Poetry by Parveen Shakir

Baat Muqdaar Pa Aa Ruke Hai Warna..!! Koi Kasar To Na Chori Thi Tujy Chahny Mein..!! --------------------------------------------------------- Gulaab hath me ho,ankh me sitara ho, koi wajood muhabbt ka irte'aara ho. Qusur ho to hamare hisab me likh jaye, muhabbto me jo ahsan ho tumhara ho. ------------------------------------------------------------ Dhanak dhanak mere puron ke khwab kar de ga Woh Lams mere badan ko gulab kar de ga Qabaye jism ke har tar se guzarta hua Kiran ka pyar mujhe aftab kar de ga Junun pasand hai dil aur tujh tak ane mein Badan ko nao to lahu ko chanab kar de ga Mein such kahongi phir bhi har jaongi Wo jhoot bole ga aur lajawab kar de ga Ana parast hai itna ke baat se pehle Wo uth kar bund meri har kitab kar de ga Sukut shehr aur sukhan mein wo phul sa lehja Sama'aton ki fiza khwab khwab kar de ga Is tarha se agar chahta raha paiham Sukhn wari mein mujhe intekhab kar de ga Meri tarha se hai koi jo zindugi apni Tumhari yad ke nam in...

یوں تو کس پھول سے رنگت نہ گئی بُو نہ گئی

یوں تو کس پھول سے رنگت نہ گئی بُو نہ گئی اے محبت! مرے پہلو سے مگر تُو نہ گئی  مٹ چلے میری اُمیدوں کی طرح حرف مگر آج تک تیرے خطوں سے تیری خوشبو نہ گئی فصلِ گل ختم ہوئی، رنگِ سمن خواب ہوا میری آنکھوں سے مگر میری سمن رو نہ گئی  کب بہاروں پہ ترے رنگ کا سایہ نہ پڑا کب ترے گیسوؤں کو بادِ سحر چھو نہ گئی